Gham Sabhi Rahat O Taskeen Mein Dhal Jate Hain
Gham sabhi Rahat O Taskeen Mein Dhal Jate Hain
Jab Karam Hota Hai Haalat Badal Jaate Hain
Unki Rehmat Hai Khatakosh Gunahgaaro Ki
Khote Sikke Sare Bazaar Bhi Chal Jaate Hain
Aa Pade Hain Tere Qadmo Mein Hum Bhi Ye Sun Kar
Jo Tere Qadmon Pe Girte Hai Sambhal Jaate Hain
Apni Aagosh Mein Le Leta Hai Jab Unka Karam
Zindagi Ke Sabhi Andaaz Badal Jaate Hain
Rakh Hi Lete Hain Bharam Unke Karam Ke Sadqe
Jab Kisi Baat Pe Deewane Machal Jaate Hain
Kaif Afza Hai Wohi Qatr-e-Jahan Mein Khalid
Sagar e Naat se Qatre Jo Uchchal Jaate Hain
Koi Dekhe To Zara Unki Duhaai De Kar
Ishq Sadik Ho To Pathar Bhi Pighal Jaate Hain
Isme Rehmat Ka Wazifa Hai Har Ek Gham Ka Elaaj
Laakh Khatre Ho isi Naam Se Tal Jaate Hain
Aap ko Kaabaye Maqsood Hi Maanu Khalid
Apke Dar Pe Sab Armaan Nikal Jaate Hain
1 comments:
Click here for commentsNice post
ConversionConversion EmoticonEmoticon